
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain – Ada Jafarey
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain
Do Chaar Qadam Hum Bhi Tere Saath Chale Hain
Jalna To Chiraaghon Ka Muqaddar Hai Azal Se
Yeh Dil Ke Kanwal Hain Ke Bujhe Hain Na Jale Hain
Thay Kitne Sitaare Ke Sar E Shaam Hi Doobay
Hangaam E Sehar Kitne Hi Khursheed Dhale Hain
Jo Jheel Gaye Hans Ke Karee Dhoop Ke Teewar
Taaron Ki Khunak Chhaon Mein Woh Log Jale Hain
Ek Shama Bujhai To Kai Aur Jala Lein
Hum Gardish E Dauran Se Bari Chaal Chale Hain
یہ فخر تو حاصل ہے برے ہیں کہ بھلے ہیں
دو چار قدم ہم بھی تیرے ساتھ چلے ہیں
جلنا تو چراغوں کا مقدر ہے ازل سے
یہ دل کے کنول ہیں کہ بجھے ہیں نہ جلے ہیں
تھے کتنے ستارے کہ سرِ شام ہی ڈوبے
ہنگامِ سحر کتنے ہی خورشید ڈھلے ہیں
جو جھیل گئے ہنس کے کڑی دھوپ کے تیور
تاروں کی خنک چھاؤں میں وہ لوگ جلے ہیں
اک شمع بجھائی تو کئی اور جلا لیں
ہم گردشِ دوراں سے بڑی چال چلے ہیں
ادا جعفری
Chara Sazon Ki Aziyat Nahin Dekhi Jati – Parveen Shakir
Bargashta-e-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai – Saghar Siddiqui




