
Yeh Galiyon Ke Awaara Bekaar Kutte
Poet: Faiz Ahmad Faiz
Poem: Kutte
Yeh Galiyon Ke Awaara Bekaar Kutte
Ke Bachha Gaya Jin Ko Zoq-E-Gudai
Zamaane Ki Phatkaar Samaaya Inka
Jahan Bhar Ki Dhutkaar Inki Kamaayi
Na Aaraam Shab Ko Na Raahat Sairay
Ghalaazat Mein Ghar Naliyon Mein Baseeray
Jo Bigde To Ak Dosre Ko Ladha Do
Zara Ek Roti Ka Tukda Dikhado
Yeh Har Ek Ki Thokarien Khane Wale
Yeh Faqun Se Utkta Ke Mar Jaane Wale
Mazloom Makhlooq Gar Sir Uthaye
To Insaan Sab Sarkashi Bhool Jaye
Yeh Chahein To Duniya Ko Apna Bana Le
Yeh Aqaahon Ki Haddiyan Tak Chba Le
Koi In Ko Ehsaas Zillat Dila De
Koi In Ki Sooi Hui Dam Hala De
Yeh Galiyon Ke Awaara Bekaar Kutte (Lyrics in Urdu)
یہ گلیوں کے آوارہ بے کار کتے
کہ بخشا گیا جن کو ذوق گدائی
زمانے کی پھٹکار سرمایہ ان کا
جہاں بھر کی دھتکار ان کی کمائی
نہ آرام شب کو نہ راحت سویرے
غلاظت میں گھر نالیوں میں بسیرے
جو بگڑیں تو اک دوسرے کو لڑا دو
ذرا ایک روٹی کا ٹکڑا دکھا دو
یہ ہر ایک کی ٹھوکریں کھانے والے
یہ فاقوں سے اکتا کے مر جانے والے
مظلوم مخلوق گر سر اٹھائے
تو انسان سب سرکشی بھول جائے
یہ چاہیں تو دنیا کو اپنا بنا لیں
یہ آقاؤں کی ہڈیاں تک چبا لیں
کوئی ان کو احساس ذلت دلا دے
کوئی ان کی سوئی ہوئی دم ہلا دے
Na Kisi Pe Zakhm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafou Ki Hai – Faiz
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum – Habib Jalib Poetry
Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye