
Yeh Hum Jo Hijr Mein Deewar-o-Dar Ko Dekhte Hain
Poet: Mirza Ghalib
یہ ہم جو ہجر میں دیوار و در کو دیکھتے ہیں
کبھی صبا کو کبھی نامہ بر کو دیکھتے ہیں
وہ آئے گھر میں ہمارے خدا کی قدرت ہے
کبھی ہم ان کو کبھی اپنے گھر کو دیکھتے ہیں
نظر لگے نہ کہیں اس کے دست و بازو کو
یہ لوگ کیوں مرے زخم جگر کو دیکھتے ہیں
ترے جواہر طرف کلہ کو کیا دیکھیں
ہم اوج طالع لعل و گہر کو دیکھتے ہیں
Yeh Hum Jo Hijr Mein Deewar-o-Dar Ko Dekhte Hain
Kabhi Saba Ko Kabhi Naama-Bar Ko Dekhte Hain
Woh Aaye Ghar Mein Hamaare Khuda Ki Qudrat Hai
Kabhi Hum Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain
Nazar Lage Na Kahin Us Ke Dast-o-Baazu Ko
Yeh Log Kyun Mere Zakhm-e-Jigar Ko Dekhte Hain
Tere Jawahar Taraaf Kullah Ko Kya Dekhein
Hum Ouj-e-Tali’e Laal-o-Guhar Ko Dekhte Hain


