Faiz Ahmad Faiz

Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam – Faiz

یہ جفائے غم کا چارہ ، وہ نَجات دل کا عالم - فیض

Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam
– Faiz Ahmad Faiz Poetry 

Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam
Tera Husn Dast-e-Eesa, Teri Yaad Rooye Maryam

Dil-o-Jaan Fidaaye Raahay Kabhi Aake Dekh Hamdam
Sar-e-Kooye Dil-Fagaraan Shab-e-Aarzu Ka Aalam

Teri Deed Se Sawa Hai Tere Shauq Mein Baharaan
Woh Chaman Jahaan Giri Hai Teri Gaisuon Ki Shabnam

Yeh Ajab Qayaamaten Hain Teri Rahguzar Mein Guzraan
Na Hua Ke Mar Mitay Hum, Na Hua Ke Jee Uthay Hum

Lo Suni Gayi Hamaari, Yoon Phire Hain Din Ke Phir Se
Wohi Gosha-e-Qafas Hai, Wohi Fasl-e-Gul Ka Maatam

یہ جفائے غم کا چارہ ، وہ نَجات دل کا عالم
ترا حُسن دستِ عیسیٰ ، تری یاد رُوئے مریم

دل و جاں فدائے راہے کبھی آکے دیکھ ہمدم
سرِ کوئے دل فگاراں شبِ آرزو کا عالم

تری دِید سے سوا ہے ترے شوق میں بہاراں
وہ چمن جہاں گِری ہے تری گیسوؤں کی شبنم

یہ عجب قیامتیں ہیں تری رہگزر میں گزراں
نہ ہُوا کہ مَرمِٹیں ہم ، نہ ہُوا کہ جی اُٹھیں ہم

لو سُنی گئی ہماری ، یُوں پِھرے ہیں دن کہ پھر سے
وہی گوشہء قفس ہے ، وہی فصلِ گُل کا ماتم

از فیض احمد فیض

 

Pehli Baat Hi Aakhri Thi By Muneer Niazi
Tere Khayal Se Lo De Uthi Hai Tanhai – Nasir Kazmi
Deti Nahin Ammaa Jo Zameen Aasman To Hai 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *