
Yeh Jo Haasil Humein Har Shay Ki Faraawani Hai
Amjad Islam Amjad Shayari
Yeh Jo Haasil Humein Har Shay Ki Faraawani Hai
Yeh Bhi To Apni Jagah Aik Pareshani Hai
Zindagi Ka Hi Nahin Thaur Thikana Ma’loom
Maut To Tayy Hai Ke Kis Waqt Kahaan Aani Hai
Koi Karta Hi Nahin Zikr Wafa Daari Ka
In Dino Ishq Mein Aasaani Hi Aasaani Hai
Kab Yeh Socha Tha Kabhi Dost Ke Yun Bhi Hoga
Teri Soorat Teri Aawaaz Se Pehchaani Hai
Chain Lene Hi Nahin Deti Kisi Pal Mujh Ko
Roz-e-Awwal Se Mere Saath Jo Hairani Hai
Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Abaadi Ho Us Se Aagay
Yeh Jo Ta Had-e-Nazar Phailti Veerani Hai
Kyun Sitaare Hain Kahin Aur Kahin Aansu Hain
Aankh Waalon Ne Yahi Ramz Nahin Jaani Hai
Takht Se Takhta Bahut Door Nahin Hota Hai
Bas Yahi Baat Humein Aap Ko Batlaani Hai
Dost Ki Bazm Hi Woh Bazm Hai Amjad Ke Jahan
Aql Ko Saath Mein Rakhna Bari Naadani Hai
یہ جو حاصل ہمیں ہر شے کی فراوانی ہے
یہ بھی تو اپنی جگہ ایک پریشانی ہے
زندگی کا ہی نہیں ٹھور ٹھکانہ معلوم
موت تو طے ہے کہ کس وقت کہاں آنی ہے
کوئی کرتا ہی نہیں ذکر وفاداری کا
ان دنوں عشق میں آسانی ہی آسانی ہے
کب یہ سوچا تھا کبھی دوست کہ یوں بھی ہوگا
تیری صورت تری آواز سے پہچانی ہے
چین لینے ہی نہیں دیتی کسی پل مجھ کو
روز اول سے مرے ساتھ جو حیرانی ہے
یہ بھی ممکن ہے کہ آبادی ہو اس سے آگے
یہ جو تا حد نظر پھیلتی ویرانی ہے
کیوں ستارے ہیں کہیں اور کہیں آنسو ہیں
آنکھ والوں نے یہی رمز نہیں جانی ہے
تخت سے تختہ بہت دور نہیں ہوتا ہے
بس یہی بات ہمیں آپ کو بتلانی ہے
دوست کی بزم ہی وہ بزم ہے امجدؔ کہ جہاں
عقل کو ساتھ میں رکھنا بڑی نادانی ہے
امجد اسلام امجد