
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre (Full Lyrics)
Mehdi Hassan Lyrics
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre Mazaq Udaate Hain Aadmi Ka
Inhein Koi Kaash Yeh Bata De Maqam Ooncha Hai Sadaagi Ka
Inhein Bhala Zakhm Ki Khabar Kya Ke Teer Chalte Hue Na Dekha
Udaas Aankhon Mein Aarzoon Ka Khoon Jalte Hue Na Dekha
Andhera Chhaya Hai Inke Aage Haseen Ghaflat Ki Roshni Ka
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre Mazaq Udaate Hain Aadmi Ka
Yeh Sehn-E-Gulshan Mein Jab Gaye Hain Bahaar Hi Loot Le Gaye Hain
Jahaan Gaye Hain Yeh Do Dilon Ka Qaraar Hi Loot Le Gaye Hain
Ke Dil Dukhana Hai Inka Shewa Inhein Hai Ehsaas Kab Kisi Ka
Yeh Kaghazi Phoool Jaise Chehre Mazaq Udaate Hain Aadmi Ka
Main Jhoot Ki Jagmagati Mehfil Mein Aaj Sach Bolne Laga Hoon
Main Ho Ke Majboor Apne Geeton Mein Zeher Phir Gholne Laga Hoon
Yeh Zeher Shayad Uda De Nasha Gharoor Mein Doobi Zindagi Ka
Ye Kaghazi Phoool Jaise Chehre Mazaq Udaate Hain Aadmi Ka
Ye Kaghazi Phool Jaise Chehre Mazaq Udaate Hain Aadmi Ka
Inhein Koi Kaash Yeh Bata De Maqam Ooncha Hai Sadaagi Ka
Yeh Kaghazi Phool Jaise Chehre (Full Lyrics in Urdu Text)
یہ کاغذی پھول جیسے چہرے مذاق اڑاتے ہیں آدمی کا
انہیں کوئی کاش یہ بتا دے مقام اونچا ہے سادگی کا
انہیں بھلا زخم کی خبر کیا کہ تیر چلتے ہوئے نہ دیکھا
اداس آنکھوں میں آرزوؤں کا خون جلتے ہوئے نہ دیکھا
اندھیرا چھایا ہے ان کے آگے حسین غفلت کی روشنی کا
یہ کاغذی پھول جیسے چہرے مذاق اڑاتے ہیں آدمی کا
یہ صحنِ گلشن میں جب گئے ہیں بہار ہی لوٹ لے گئے ہیں
جہاں گئے ہیں یہ دو دلوں کا قرار ہی لوٹ لے گئے ہیں
کہ دل دکھانا ہے ان کا شیوا انہیں ہے احساس کب کسی کا
یہ کاغذی پھول جیسے چہرے مذاق اڑاتے ہیں آدمی کا
میں جھوٹ کی جگمگاتی محفل میں آج سچ بولنے لگا ہوں
میں ہو کہ مجبور اپنے گیتوں میں زہرپھر گھولنے لگا ہوں
یہ زہر شاید اڑا دے نشہ غرور میں ڈوبی زندگی کا
یہ کاغذی پھول جیسے چہرے مذاق اڑاتے ہیں آدمی کا
یہ کاغذی پھول جیسے چہرے مذاق اڑاتے ہیں آدمی کا
انہیں کوئی کاش یہ بتا دے مقام اونچا ہے سادگی کا
Read More Mehdi Hassan Lyrics
Jo Chahte Ho So Kehte Ho (Lyrics)
Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge (Lyrics)