
Yeh Meri Rooh Mein Goonjta Kaun Hai
Band Gunbad Mein Misl-e-Sada Kaun Hai
Kaun Sabze Ki Soorat Mein Paamaal Hai
Sarw Ban Kar Chaman Mein Khara Kaun Hai
Kis Se Chhup Chhup Ke Milne Ko Jaati Hai Tu
Janglon Mein, Bata Ae Saba, Kaun Hai
Phool Khilne Ki Koshish Se Uktā Gaye
Aankh Bhar Kar Unhein Dekhta Kaun Hai
Be-Dili Se Kahaan Haath Aate Hain Hum
Dil Laga Kar Humein Dhoondta Kaun Hai
یہ مری روح میں گونجتا کون ہے
بند گنبد میں مثلِ صدا کون ہے
کون سبزے کی صورت میں پامال ہے
سرو بن کر چمن میں کھڑ ا کون ہے
کس سے چھپ چھپ کے ملنے کو جاتی ہے تو
جنگلوں میں ، بتا اے صبا، کون ہے
پھول کھلنے کی کوشش سے اُکتا گئے
آنکھ بھر کر انہیں دیکھتا کون ہے
بے دلی سے کہاں ہاتھ آتے ہیں ہم
دل لگا کر ہمیں ڈھونڈتا کون ہے
خورشید رضوی
Kaise Keh Doon Ke Mulaqat Nahi Hoti Hai – Shakeel Badayuni
Ghazal – Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai
Kitaab Saada Rahegi Kab Tak – Full Poetry




