
Yeh Mohabbat Ka Jo Anbaar Pada Hai Mujh Mein
Anjum Saleemi
Yeh Mohabbat Ka Jo Anbaar Pada Hai Mujh Mein
Is Liye Hai Ke Mera Yaar Pada Hai Mujh Mein
Cheent Ek Urr Ke Meri Aankh Mein Aayi To Khula
Ek Darya Abhi Teh-daar Pada Hai Mujh Mein
Meri Peshani Pe Us Bal Ki Jagah Hai Hi Nahin
Sabr Ke Saath Jo Hamwaar Pada Hai Mujh Mein
Har Talluq Ko Mohabbat Se Nabha Leta Hai
Dil Hai Ya Koi Adakaar Pada Hai Mujh Mein
Mera Daman Bhi Koi Dast-e-Hawas Kheenchta Hai
Ek Mera Bhi Khareedaar Pada Hai Mujh Mein
Kis Ne Aabaad Kiya Hai Meri Veerani Ko
Ishq Ne? Ishq To Beemaar Pada Hai Mujh Mein
Mere Uksane Pe Main Ne Mujhe Barbaad Kiya
Main Nahin, Mera Gunahgaar Pada Hai Mujh Mein
Mashwara Lene Ki Nobat Hi Nahin Aa Paati
Ek Se Ek Samajhdaar Pada Hai Mujh Mein
Ae Barabar Se Guzarte Hue Dukh Tham To Sahi
Tujh Pe Rone Ko Azaadaar Pada Hai Mujh Mein
Mera Hona Mere Honay Ki Gawaahi To Nahin
Mere Aage Mera Inkaar Pada Hai Mujh Mein
Bhook Aisi Hai Ke Main Khud Ko Bhi Kha Sakta Hoon
Kaisa Yeh Qehat Lagataar Pada Hai Mujh Mein
یہ محبت کا جو انبار پڑا ہے مجھ میں
اس لیے ہے کہ مرا یار پڑا ہے مجھ میں
چھینٹ اک اڑ کے مری آنکھ میں آئی تو کھلا
ایک دریا ابھی تہہ دار پڑا ہے مجھ میں
میری پیشانی پہ اس بل کی جگہ ہے ہی نہیں
صبر کے ساتھ جو ہموار پڑا ہے مجھ میں
ہر تعلق کو محبت سے نبھا لیتا ہے
دل ہے یا کوئی اداکار پڑا ہے مجھ میں
میرا دامن بھی کوئی دست ہوس کھینچتا ہے
ایک میرا بھی خریدار پڑا ہے مجھ میں
کس نے آباد کیا ہے مری ویرانی کو
عشق نے؟ عشق تو بیمار پڑا ہے مجھ میں
میرے اکسانے پہ میں نے مجھے برباد کیا
میں نہیں میرا گنہ گار پڑا ہے مجھ میں
مشورہ لینے کی نوبت ہی نہیں آ پاتی
ایک سے ایک سمجھ دار پڑا ہے مجھ میں
اے برابر سے گزرتے ہوئے دکھ تھم تو سہی
تجھ پہ رونے کو عزا دار پڑا ہے مجھ میں
میرا ہونا مرے ہونے کی گواہی تو نہیں
میرے آگے مرا انکار پڑا ہے مجھ میں
بھوک ایسی ہے کہ میں خود کو بھی کھا سکتا ہوں
کیسا یہ قحط لگاتار پڑا ہے مجھ میں