
Yunhi Be Yaqeen Yunhi Be Nishan
Poet: Irfan Sattar
Yunhi Be Yaqeen Yunhi Be Nishan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Kahin Ho Na Jaoon Main Raigan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Kabhi Saiban Na Tha Baham, Kabhi Kahkashan Thi Qadam Qadam
Kabhi Be Makaan Kabhi La Makaan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Tere Wasl Ki Jo Naveed Hai, Woh Qareeb Hai Ke Baeed Hai
Mujhe Kuch Khabar To Ho Jaan-e-Jaan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Kabhi Mujh Ko Fikr-e-Ma’ash Hai, Kabhi Aap Apni Talash Hai
Koi Gur Bata Mere Nukta Daan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Kabhi Zikr-e-Hurmat-e-Harf Mein, Kabhi Fikr-e-Aamad-o-Sarf Mein
Yunhi Rizq-o-Ishq Ke Darmiyan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Koi Ta’na Zan Meri Zaat Par, Koi Khanda Zan Kisi Baat Par
Pa’ay Dil Nawazi-e-Dostaan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Abhi Waqt Kuch Mere Paas Hai, Ye Khabar Nahin Hai Qayaas Hai
Koi Kar Gila Mere Bad Gumaan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Use Pa Liya Use Kho Diya, Kabhi Hans Diya Kabhi Ro Diya
Bari Mukhtasir Si Hai Daastan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Teri Har Daleel Bohat Baja, Magar Intizaar Bhi Ta Kaja
Zara Soch To Mere Raazdaan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
Kahan Kainaat Mein Ghar Karoon, Main Ye Jaan Loon To Safar Karoon
Isi Soch Mein Tha Ke Naagahan, Meri Aadhi Umar Guzar Gayi
یونہی بے یقیں یونہی بے نشاں، مری آدھی عمر گزر گئی
کہیں ہو نہ جاؤں میں رائگاں، مری آدھی عمر گزر گئی
کبھی سائباں نہ تھا بہم، کبھی کہکشاں تھی قدم قدم
کبھی بے مکاں کبھی لا مکاں، مری آدھی عمر گزر گئی
ترے وصل کی جو نوید ہے، وہ قریب ہے کہ بعید ہے
مجھے کچھ خبر تو ہو جانِ جاں، مری آدھی عمر گزر گئی
کبھی مجھ کو فکرِ معاش ہے، کبھی آپ اپنی تلاش ہے
کوئی گُر بتا مرے نکتہ داں، مری آدھی عمر گزر گئی
کبھی ذکرِ حرمتِ حرف میں، کبھی فکرِ آمد و صرف میں
یونہی رزق و عشق کے درمیاں، مری آدھی عمر گزر گئی
کوئی طعنہ زن مری ذات پر، کوئی خندہ زن کسی بات پر
پئے دل نوازیٔ دوستاں، مری آدھی عمر گزر گئی
ابھی وقت کچھ مرے پاس ہے، یہ خبر نہیں ہے قیاس ہے
کوئی کر گلہ مرے بد گماں، مری آدھی عمر گزر گئی
اُسے پا لیا اُسے کھو دیا، کبھی ہنس دیا کبھی رو دیا
بڑی مختصر سی ہے داستاں، مری آدھی عمر گزر گئی
تری ہر دلیل بہت بجا، مگر انتظار بھی تا کجا
ذرا سوچ تو مرے رازداں، مری آدھی عمر گزر گئی
کہاں کائنات میں گھر کروں، میں یہ جان لوں تو سفر کروں
اسی سوچ میں تھا کہ ناگہاں، مری آدھی عمر گزر گئی