Urdu Poetry

Yunhi Umeed Dilaate Hain Zamaane Wale – Urdu Poetry

Yunhi Umeed Dilaate Hain Zamaane Wale

 

Yunhi Umeed Dilaate Hain Zamaane Wale
Kab Palatte Hain Bhala Chhod Kar Jaane Wale

To Kabhi Dekh Jhalaste Hue Sehra Mein Darakht
Kaise Jalte Hain Wafaaon Ko Nibhaane Wale

Un Se Aati Hai Tere Lams Ki Khushboo Ab Bhi
Khat Nikaale Hue Baitha Hoon Purane Wale

Aa Kabhi Dekh Zara Un Ki Shabon Mein Aakar
Kitna Rote Hain Zamaane Ko Hansaane Wale

Mere Maalik Mere Aangan Mein Diya Tak Bhi Nahi
Sab Sitare Hain Tera Arsh Sajane Wale

Ban Ke Tasveer Jo Palkon Se Jude Rehte Hoon
Aise Aansoo Bhala Hote Hain Bahaane Wale

Aaj Behzad Sitara Hai Na Jugnu Koi
Rabtay Toot Gaye Un Se Milaane Wale

یونہی امید دلاتے ہیں زمانے والے
کب پلٹتے ہیں بھلا چھوڑ کے جانے والے

تو کبھی دیکھ جھلستے ہوئے صحرا میں درخت
کیسے جلتے ہیں وفائوں کو نبھانے والے

ان سے آتی ہے ترے لمس کی خوشبو اب بھی
خط نکالے ہوئے بیٹھا ہوں پرانے والے

آ کبھی دیکھ ذرا اُن کی شبوں میں آکر
کتنا روتے ہیں زمانے کو ہنسانے والے

میرے مالک مرے آنگن میں دیا تک بھی نہیں
سب ستارے ہیں ترا عرش سجانے والے

بن کے تصویر جو پلکوں سے جڑے رہتے ہوں
ایسے آنسو بھلا ہوتے ہیں بہانے والے

آج بہزادؔ ستارہ ہے نہ جگنو کوئی
رابطے ٹوٹ گئے اُن سے ملانے والے

بہزاد جازب

Qurbat Se Naashinaas Rahe, Kuch Nahi Bana – Komal Joya
Itni Muddat Baad Mile Ho Kuch To Dil Ka Haal Kaho – Lyrics
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain – Ada Jafarey

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *