
Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Poet: Qateel Shifai
Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Main To Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga
Tu Mila Hai To Ye Ehsaas Hua Hai Mujh Ko
Ye Meri Umar Mohabbat Ke Liye Thhodi Hai
Ek Zara Sa Gham-e-Dauran Ka Bhi Haq Hai Jis Par
Main Ne Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai
Tujh Pe Ho Jaoonga Qurbaan Tujhe Chaahoonga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga
Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Ke Liye
Main Ne Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe
Main Tasavvur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Main Ne Qismat Ki Lakeeron Se Churaya Hai Tujhe
Pyar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chaahoonga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga
Teri Har Chaap Se Jalte Hain Khayalon Mein Chiraagh
Jab Bhi Tu Aaye Jagata Hua Jaadu Aaye
Tujh Ko Chhoo Loon To Phir Ae Jaan-e-Tamanna Mujh Ko
Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye
Tu Baharon Ka Hai Unwaan Tujhe Chaahoonga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga
Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Main To Mar Kar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga!
— Qateel Shifai
Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Lyrics in Urdu
زندگی میں تو سبھی پیار کیا کرتے ہیں
میں تو مر کر بھی میری جان تجھے چاہوں گا
تو ملا ہے تو یہ احساس ہوا ہے مجھ کو
یہ میری عمر محبت کے لیے تھوڑی ہے
اک ذرا سا غمِ دوراں کا بھی حق ہے جس پر
میں نے وہ سانس بھی تیرے لیے رکھ چھوڑی ہے
تجھ پہ ہو جاؤں گا قربان تجھے چاہوں گا
میں تو مر کر بھی میری جان تجھے چاہوں گا
اپنے جذبات میں نغمات رچانے کے لیے
میں نے دھڑکن کی طرح دل میں بسایا ہے تجھے
میں تصور بھی جدائی کا بھلا کیسے کروں
میں نے قسمت کی قسمت کی لکیروںسے چرایا ہے تجھے
پیار کا بن کے نگہبان تجھے چاہوں گا
میں تو مر کر بھی میری جان تجھے چاہوں گا
تیری ہر چاپ سے جلتے ہیں خیالوںمیں چراغ
جب بھی تو آئے جگاتا ہوا جادو آئے
تجھ کو چھو لوںتو پھر اے جانِ تمنا مجھ کو
دیر تک اپنے بدن سے تری خوشبو آئے
تو بہاروں کا ہے عنوان تجھے چاہوں گا
میں تو مر کر بھی میری جان تجھے چاہوں گا
زندگی میں تو سبھی پیار کیا کرتے ہیں
میں تو مر کر بھی میری جان تجھے چاہوں گا !
قتیل شفائی