Ahmad Faraz

Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe – Ahmad Faraz

زندگی سے یہی گلہ ہے مجھے

Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe

Ahmad Faraz Poetry

Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe
Tu Bahut Der Se Mila Hai Mujhe

Tu Mohabbat Se Koi Chaal To Chal
Haar Jaane Ka Hausla Hai Mujhe

Dil DhaDakta Nahin Tapakta Hai
Kal Jo KHwahish Thi Aabla Hai Mujhe

Ham-Safar Chahiye Hujum Nahin
Ek Musafir Bhi Qafila Hai Mujhe

Kohkan Ho Ki Qais Ho Ki ‘Faraz’
Sab Mein Ek ShaKHs Hi Mila Hai Mujhe

زندگی سے یہی گلہ ہے مجھے
تو بہت دیر سے ملا ہے مجھے

تو محبت سے کوئی چال تو چل
ہار جانے کا حوصلہ ہے مجھے

دل دھڑکتا نہیں ٹپکتا ہے
کل جو خواہش تھی آبلہ ہے مجھے

ہم سفر چاہیئے ہجوم نہیں
اک مسافر بھی قافلہ ہے مجھے

کوہ کن ہو کہ قیس ہو کہ فرازؔ
سب میں اک شخص ہی ملا ہے مجھے

Read More:

Iss Se Pehle Keh Bewafa Ho Jayein – Ahmad Faraz Poetry
Gulon Mein Rang Bhare – Faiz Ahmad Faiz
Jawani Ke Naghme Hawaon Ne Gaye – Qateel Shifai Poetry
Agar Talash Karun Koi Mil Hi Jayega – Bashir Badr Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *