Ghazal

Zubaan Tak Jo Na Aaye Woh Mohabbat Aur Hoti Hai – Urdu Ghazal

زباں تک جو نہ آئے وہ محبت اور ہوتی ہے - وامق جونپوری

زباں تک جو نہ آئے وہ محبت اور ہوتی ہے
فسانہ اور ہوتا ہے حقیقت اور ہوتی ہے

نہیں ملتے تو اک ادنیٰ شکایت ہے نہ ملنے کی
مگر مل کر نہ ملنے کی شکایت اور ہوتی ہے

یہ مانا شیشۂ دل رونق بازار الفت ہے
مگر جب ٹوٹ جاتا ہے تو قیمت اور ہوتی ہے

نگاہیں تاڑ لیتی ہیں محبت کی اداؤں کو
چھپانے سے زمانے بھر کی شہرت اور ہوتی ہے

یہ مانا حسن کی فطرت بہت نازک ہے اے وامقؔ
مزاج عشق کی لیکن نزاکت اور ہوتی ہے

Zubaan Tak Jo Na Aaye Woh Mohabbat Aur Hoti Hai
Fasana Aur Hota Hai Haqeeqat Aur Hoti Hai

Nahin Milte To Ek Adnaa Shikayat Hai Na Milne Ki
Magar Mil Kar Na Milne Ki Shikayat Aur Hoti Hai

Ye Maana Sheesha-E-Dil Ronaq-E-Bazaar-E-Ulfat Hai
Magar Jab Toot Jaata Hai To Qeemat Aur Hoti Hai

Nigaahen Taad Leti Hain Mohabbat Ki Adaon Ko
Chhupaane Se Zamaane Bhar Ki Shehrat Aur Hoti Hai

Ye Maana Husn Ki Fitrat Bohot Naazuk Hai Ae Waamiq
Mazaj-E-Ishq Ki Lekin Nazaakat Aur Hoti Hai

Shaam Dhal Chuki Hai Barsaat Ho Rahi Hai
Koi Faryaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Ghazal – Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *