
Hum Ne Mana Is Zamane Mein Hansi Bhi Jurm Hai
Hum Ne Mana Is Zamane Mein Hansi Bhi Jurm Hai
Lekin Is Mahaul Mein Afsurdagi Bhi Jurm Hai
Dushmani To Khair Har Soorat Mein Hoti Hai Gunah
Ek Muayyan Had Se Aage Dosti Bhi Jurm Hai
Hum Wafayen Kar Ke Rakhte Hain Wafaon Ki Umeed
Dosti Mein Is Qadar Saudagari Bhi Jurm Hai
Is Se Pehle Zindagi Mein Aisi Pabandi Na Thi
Ab To Jaise Khud Wujood-e-Zindagi Bhi Jurm Hai
Aadmi Is Zindagi Se Bach Ke Jaye Bhi Kahan
Mai-Kashi Bhi Jurm Hai Aur Khudkushi Bhi Jurm Hai
Sadagi Mein Jaan De Baithe Hazaron Koh-Kan
Aadmi Soche To Itni Sadagi Bhi Jurm Hai
Kitni Deewaren Khadi Hain Har Qadam Har Raah Par
Aur Sitam Yeh Hai Ke Shoreeda-Sari Bhi Jurm Hai
Ek Saghar Ke Liye Jo Bech De Apna Zameer
Aise Rindon Ke Liye Tishna-Labi Bhi Jurm Hai
Apni Be-Noori Ka Hum Iqbal Matam Kyun Karein
Aaj Ke Halaat Mein Deeda-Wari Bhi Jurm Hai
ہم نے مانا اس زمانے میں ہنسی بھی جرم ہے
لیکن اس ماحول میں افسردگی بھی جرم ہے
دشمنی تو خیر ہر صورت میں ہوتی ہے گناہ
اک معین حد سے آگے دوستی بھی جرم ہے
ہم وفائیں کر کے رکھتے ہیں وفاوُں کی امید
دوستی میں اس قدر سوداگری بھی جرم ہے
اس سے پہلے زندگی میں ایسی پابندی نہ تھی
اب تو جیسے خود وجودِ زندگی بھی جرم ہے
آدمی اس زندگی سے بچ کے جائے بھی کہاں
مے کشی بھی جرم ہے اور خودکشی بھی جرم ہے
سادگی میں جان دے بیٹھے ہزاروں کوہ کن
آدمی سوچے تو اتنی سادگی بھی جرم ہے
کتنی دیواریں کھڑی ہیں ہر قدم ہر راہ پر
اور ستم یہ ہے کہ شوریدہ سری بھی جرم ہے
ایک ساغر کے لئے جو بیچ دے اپنا ضمیر
ایسے رندوں کے لئے تشنہ لبی بھی جرم ہے
اپنی بے نوری کا ہم اقبال ماتم کیوں کریں
آج کے حالات میں دیدہ وری بھی جرم ہے
Aah-e-Wafa Mein Har Soo Kaante, Dhoop Zyada Saaye Kam
Guzar Gaye Hain Jo Mausam Kabhi Na Aayenge




