
Sheeshon Ka Masiha Koi Nahin
Faiz Ahmad Faiz Poem
Moti Ho Ke Sheesha, Jaam Ke Dar
Jo Toot Gaya So Toot Gaya
Kab Ashkon Se Jud Sakta Hai
Jo Toot Gaya So Chhoot Gaya
Tum Na-Haq Tukde Chun Chun Kar
Daman Mein Chhupaye Baithe Ho
Sheeshon Ka Masiha Koi Nahin
Kya Aas Lagaye Baithe Ho
Shayad Ke Inhi Tukdon Mein Kahin
Woh Sagar-E-Dil Hai Jis Mein Kabhi
Sad Naaz Se Utra Karti Thi
Sahba-E-Gham-E-Janaan Ki Pari
Phir Duniya Walon Ne Tum Se
Yeh Sagar Le Kar Phod Diya
Jo Mai Thi Baha Di Mitti Mein
Mehman Ka Shahpar Tod Diya
Yeh Rangeen Reze Hain Shayad
Un Shokh Baloreen Sapnon Ke
Tum Mast Jawani Mein Jin Se
Khalwat Ko Sajaya Karte The
Nadari, Daftar, Bhook Aur Gham
Un Sapnon Se Takrate Rahe
Be-Rahm Tha Chau-Mukh Pattharao
Yeh Kaanch Ke Dhanche Kya Karte
Ya Shayad Un Zarron Mein Kahin
Moti Hai Tumhari Izzat Ka
Woh Jis Se Tumhare Ajz Pe Bhi
Shamshad-Qadon Ne Rashk Kiya
Us Maal Ki Dhun Mein Phirte The
Tajir Bhi Bahut, Rahzan Bhi Kai
Hai Chor Nagar Yaan Muflis Ki
Gar Jaan Bachi To Aan Gai
Yeh Sagar, Sheeshe, Laal-O-Gauhar
Salim Hon To Qeemat Paate Hain
Yun Tukde Tukde Hon To Faqat
Chubhte Hain, Lahoo Rulwate Hain
Tum Na-Haq Sheeshe Chun Chun Kar
Daman Mein Chhupaye Baithe Ho
Sheeshon Ka Masiha Koi Nahin
Kya Aas Lagaye Baithe Ho
Yaadon Ke Garebanon Ke Rafoo
Par Dil Ki Guzar Kab Hoti Hai
Ek Bakhya Udheda, Ek Siya
Yun Umr Basar Kab Hoti Hai
Is Kar-Gah-E-Hasti Mein Jahan
Yeh Sagar Sheeshe Dhalte Hain
Har Shay Ka Badal Mil Sakta Hai
Sab Daman Pur Ho Sakte Hain
Jo Haath Badhe Yawar Hai Yahan
Jo Aankh Uthe Woh Bakhtawar
Yaan Dhan Daulat Ka Ant Nahin
Hon Ghat Mein Daku Lakh Magar
Kab Loot Jhapat Se Hasti Ki
Dukanein Khali Hoti Hain
Yaan Parbat Parbat Heere Hain
Yaan Sagar Sagar Moti Hain
Kuchh Log Hain Jo Is Daulat Par
Parde Latkate Phirte Hain
Har Parbat Ko Har Sagar Ko
Nilam Chadhate Phirte Hain
Kuchh Woh Bhi Hain Jo Lad Bhid Kar
Yeh Parde Noch Girate Hain
Hasti Ke Uthai Giron Ki
Har Chaal Uljhaye Jaate Hain
In Donon Mein Ran Padta Hai
Nit Basti Basti, Nagar Nagar
Har Baste Ghar Ke Seene Mein
Har Chalti Raah Ke Mathe Par
Yeh Kalak Bharte Phirte Hain
Woh Jot Jagate Rahte Hain
Yeh Aag Lagate Phirte Hain
Woh Aag Bujhate Rahte Hain
Sab Sagar, Sheeshe, Laal-O-Gauhar
Is Baazi Mein Bad Jaate Hain
Utho Sab Khali Haathon Ko
Is Ran Se Bulawe Aate Hain
Sheeshon Ka Masiha Koi Nahin
Poem in Urdu Text
موتی ہو کہ شیشہ جام کہ در
جو ٹوٹ گیا سو ٹوٹ گیا
کب اشکوں سے جڑ سکتا ہے
جو ٹوٹ گیا سو چھوٹ گیا
تم ناحق ٹکڑے چن چن کر
دامن میں چھپائے بیٹھے ہو
شیشوں کا مسیحا کوئی نہیں
کیا آس لگائے بیٹھے ہو
شاید کہ انھی ٹکڑوں میں کہیں
وہ ساغر دل ہے جس میں کبھی
صد ناز سے اترا کرتی تھی
صہبائے غم جاناں کی پری
پھر دنیا والوں نے تم سے
یہ ساغر لے کر پھوڑ دیا
جو مے تھی بہا دی مٹی میں
مہمان کا شہپر توڑ دیا
یہ رنگیں ریزے ہیں شاید
ان شوخ بلوریں سپنوں کے
تم مست جوانی میں جن سے
خلوت کو سجایا کرتے تھے
ناداری دفتر بھوک اور غم
ان سپنوں سے ٹکراتے رہے
بے رحم تھا چومکھ پتھراؤ
یہ کانچ کے ڈھانچے کیا کرتے
یا شاید ان ذروں میں کہیں
موتی ہے تمہاری عزت کا
وہ جس سے تمہارے عجز پہ بھی
شمشاد قدوں نے رشک کیا
اس مال کی دھن میں پھرتے تھے
تاجر بھی بہت رہزن بھی کئی
ہے چور نگر یاں مفلس کی
گر جان بچی تو آن گئی
یہ ساغر شیشے لعل و گہر
سالم ہوں تو قیمت پاتے ہیں
یوں ٹکڑے ٹکڑے ہوں تو فقط
چبھتے ہیں لہو رلواتے ہیں
تم ناحق شیشے چن چن کر
دامن میں چھپائے بیٹھے ہو
شیشوں کا مسیحا کوئی نہیں
کیا آس لگائے بیٹھے ہو
یادوں کے گریبانوں کے رفو
پر دل کی گزر کب ہوتی ہے
اک بخیہ ادھیڑا ایک سیا
یوں عمر بسر کب ہوتی ہے
اس کار گہ ہستی میں جہاں
یہ ساغر شیشے ڈھلتے ہیں
ہر شے کا بدل مل سکتا ہے
سب دامن پر ہو سکتے ہیں
جو ہاتھ بڑھے یاور ہے یہاں
جو آنکھ اٹھے وہ بختاور
یاں دھن دولت کا انت نہیں
ہوں گھات میں ڈاکو لاکھ مگر
کب لوٹ جھپٹ سے ہستی کی
دوکانیں خالی ہوتی ہیں
یاں پربت پربت ہیرے ہیں
یاں ساگر ساگر موتی ہیں
کچھ لوگ ہیں جو اس دولت پر
پردے لٹکاتے پھرتے ہیں
ہر پربت کو ہر ساگر کو
نیلام چڑھاتے پھرتے ہیں
کچھ وہ بھی ہیں جو لڑ بھڑ کر
یہ پردے نوچ گراتے ہیں
ہستی کے اٹھائی گیروں کی
ہر چال الجھائے جاتے ہیں
ان دونوں میں رن پڑتا ہے
نت بستی بستی نگر نگر
ہر بستے گھر کے سینے میں
ہر چلتی راہ کے ماتھے پر
یہ کالک بھرتے پھرتے ہیں
وہ جوت جگاتے رہتے ہیں
یہ آگ لگاتے پھرتے ہیں
وہ آگ بجھاتے رہتے ہیں
سب ساغر شیشے لعل و گہر
اس بازی میں بد جاتے ہیں
اٹھو سب خالی ہاتھوں کو
اس رن سے بلاوے آتے ہیں
Ek Muddat Hui, Ek Zamana Hua
Sab Ne Milae Haath Yahan Tirgi Ke Saath
Shab-E-Firaq Hai Aur Neend Aai Jaati Hai




