
Poetry for Father – Aziz Tar Mujhe Rakhta Tha Woh Rag-E-Jaan Se
Aziz Tar Mujhe Rakhta Tha Woh Rag-E-Jaan Se
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Na Tha Maa Se
Woh Maa Ke Kehne Pe Kuch Rok Mujh Pe Rakhta Tha
Yehi Wajah Thi Ke Mujhe Choomte Jhijhakta Tha
Woh Aashna Mere Har Karb Se Raha Har Dam
Jo Khul Ke Ro Nahin Paaya Magar Sisakta Tha
Juri Thi Us Ki Har Ek Haan Faqat Meri Haan Se
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Na Tha Maa Se
Har Ek Dard Woh Chup Chaap Khud Pe Sehta Tha
Tamam Umar Woh Apnon Se Kat Ke Rehta Tha
Woh Lautta Tha Kahin Raat Ko Der Se Ke Din Bhar
Wujood Us Ka Paseene Mein Dhal Ke Bahta Tha
Gile Phir Bhi The Mujhe Aise Chaak Daaman Se
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Na Tha Maa Se
Purana Suit Pehenta Tha, Kam Woh Khata Tha
Magar Khilaune Mere Sab Khareed Laata Tha
Woh Mujhe Soye Hue Dekhta Tha Ji Bhar Ke
Na Jaane Soch Ke Woh Kya Kya Muskurata Tha
Mere Baghair The Sab Khwab Us Ke Veeraan Se
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Na Tha Maa Se
Aziz Tar Mujhe Rakhta Tha Woh Rag-E-Jaan Se
Poetry for Father in Urdu
عزیز تر مجھے رکھتا تھا وہ رگ جاں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہ تھا ماں سے
وہ ماں کے کہنے پہ کچھ روک مجھ پہ رکھتا تھا
یہی وجہ تھی کہ مجھے چومتے ججھکتا تھا
وہ آشنا میرے ہر کرب سے رہا ہر دم
جو کھل کے رو نہیں پایا مگر سسکتا تھا
جڑی تھی اسکی ہر اک ہاں فقط میری ہاں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہ تھا ماں سے
ہر اک درد وہ چپ چاپ خود پہ سہتا تھا
تمام عمر وہ اپنوں سے کٹ کے رہتا تھا
وہ لوٹتا تھا کہیں رات کو دیر سے کہ دن بھر
وجود اسکا پسینے میں ڈھل کے بہتا تھا
گلے پھر بھی تھے مجھے ایسے چاک داماں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہ تھا ماں سے
پرانا سوٹ پہنتا تھا کم وہ کھاتا تھا
مگر کھلونے میرے سب خرید لاتا تھا
وہ مجھے سوئے ہوئے دیکھتا تھا جی بھر کے
نہ جانے سوچ کے وہ کیا کیا مسکراتا تھا
میرے بغیر تھے سب خواب اسکے ویراں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہ تھا ماں سے
Chhoti Si Be-Rukhi Pe Shikayat Ki Baat Hai
Woh Haath Hi Tha Aur, Woh Patthar Hi Aur Tha
Harf Taaza Nayi Khushboo Mein Likha Chahta Hai



