
Bahaar Ki Dhoop Mein Nazare Hain Us Kinare
Sufaid Pani Ke Sabz Dhaare Hain Us Kinare
Wahan Ki Subhon Ka Rang Hai Fakhtaon Jaisa
Hameshgi Ke Nishan Saare Hain Us Kinare
Fiza Farishton Ke Noor Se Jagmaga Rahi Hai
Dhale Hue Aasman Saare Hain Us Kinare
Wahan Ki Raaton Mein Khwab Hain Keemiya Garon Ke
Rawan Meri Rooh Ke Sitare Hain Us Kinare
Fizaon Mein Kashf Ke Diye Jhalmala Rahe Hain
Hawaon Mein Ghaib Ke Ishare Hain Us Kinare
Wahan Hai Faizan-e-Aasmaan Ki Ziyafaton Ka
Falak Ne Nemat Ke Khwan Utaare Hain Us Kinare
Wahan Hain Angoor Ke Chaman Deviyon Ke Darshan
Bahisht Ke Ehtimam Saare Hain Us Kinare
Kisan Dil Shad Khet Aabaad Hain Wahan Ke
Sufaid Bheden Hain Sabz Chaare Hain Us Kinare
Yahan Ye Khamosh Matami Sogwar Sahil
Wahan Gadriyon Ke Geet Pyare Hain Us Kinare
بہار کی دھوپ میں نظارے ہیں اس کنارے
سفید پانی کے سبز دھارے ہیں اس کنارے
وہاں کی صبحوں کا رنگ ہے فاختاؤں جیسا
ہمیشگی کے نشان سارے ہیں اس کنارے
فضا فرشتوں کے نور سے جگمگا رہی ہے
دھلے ہوئے آسمان سارے ہیں اس کنارے
وہاں کی راتوں میں خواب ہیں کیمیا گروں کے
رواں مری روح کے ستارے ہیں اس کنارے
فضاؤں میں کشف کے دیئے جھلملا رہے ہیں
ہواؤں میں غیب کے اشارے ہیں اس کنارے
وہاں ہے فیضان آسماں کی ضیافتوں کا
فلک نے نعمت کے خواں اتارے ہیں اس کنارے
وہاں ہیں انگور کے چمن دیویوں کے درشن
بہشت کے اہتمام سارے ہیں اس کنارے
کسان دل شاد کھیت آباد ہیں وہاں کے
سفید بھیڑیں ہیں سبز چارے ہیں اس کنارے
یہاں یہ خاموش ماتمی سوگوار ساحل
وہاں گڈریوں کے گیت پیارے ہیں اس کنارے




