
Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho – Faraz
Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho
Ae Jaan-e-Jahan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho
Ye Khwab Hai Khushboo Hai Ke Jhonka Hai Ke Pal Hai
Ye Dhund Hai Baadal Hai Ke Saaya Hai Ke Tum Ho
Is Deed Ki Saa’at Mein Kai Rang Hain Larzaan
Main Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho
Dekho Ye Kisi Aur Ki Aankhein Hain Ke Meri
Dekhoon Ye Kisi Aur Ka Chehra Hai Ke Tum Ho
Ye Umr-e-Gurezaan Kahin Thehre To Ye Jaanoon
Har Saans Mein Mujh Ko Yehi Lagta Hai Ke Tum Ho
Har Bazm Mein Mauzu-e-Sukhan Dil-ZadagaaN Ka
Ab Kaun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai Ke Tum Ho
Ik Dard Ka Phela Hua Sehra Hai Ke Main Hoon
Ik Mauj Mein Aaya Hua Dariya Hai Ke Tum Ho
Wo Waqt Na Aaye Ke Dil-e-Zaar Bhi Soche
Is Shehar Mein Tanha Koi Hum Sa Hai Ke Tum Ho
Aabaad Hum Aashufta-Saron Se Nahin Maqtal
Ye Rasm Abhi Shehar Mein Zinda Hai Ke Tum Ho
Ae Jaan-e-Faraz Itni Bhi Taufeeq Kise Thi
Hum Ko Gham-e-Hasti Bhi Gawara Hai Ke Tum Ho
جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو
اے جان جہاں یہ کوئی تم سا ہے کہ تم ہو
یہ خواب ہے خوشبو ہے کہ جھونکا ہے کہ پل ہے
یہ دھند ہے بادل ہے کہ سایا ہے کہ تم ہو
اس دید کی ساعت میں کئی رنگ ہیں لرزاں
میں ہوں کہ کوئی اور ہے دنیا ہے کہ تم ہو
دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری
دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو
یہ عمر گریزاں کہیں ٹھہرے تو یہ جانوں
ہر سانس میں مجھ کو یہی لگتا ہے کہ تم ہو
ہر بزم میں موضوع سخن دل زدگاں کا
اب کون ہے شیریں ہے کہ لیلیٰ ہے کہ تم ہو
اک درد کا پھیلا ہوا صحرا ہے کہ میں ہوں
اک موج میں آیا ہوا دریا ہے کہ تم ہو
وہ وقت نہ آئے کہ دل زار بھی سوچے
اس شہر میں تنہا کوئی ہم سا ہے کہ تم ہو
آباد ہم آشفتہ سروں سے نہیں مقتل
یہ رسم ابھی شہر میں زندہ ہے کہ تم ہو
اے جان فرازؔ اتنی بھی توفیق کسے تھی
ہم کو غم ہستی بھی گوارا ہے کہ تم ہو
Marne Ki Duaein Kyun Maangoon, Jeene Ki Tamanna Kaun Kare
Baadbaan Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna – Parveen Shakir



