
Kehta Nahi Hai Koi Bhi Sach Baat In Dinon
Iftikhar Arif
Kehta Nahi Hai Koi Bhi Sach Baat In Dinon
Achhe Nahi Hain Shehar Ke Halaat In Dinon
Ahbaab Ka Ravayya Bhi Badla Hua Sa Hai
Kuch Tang Ho Gaya Hai Mera Haath In Dinon
Us Ko Bhi Apne Husn Pe Ab Naaz Ho Gaya!
Thehre Hue Hain Mere Bhi Jazbaat In Dinon
Uljha Diya Hai Mujh Ko Gham-e-Rozgaar Ne!
Mumkin Nahi Hai Tujh Se Mulaqaat In Dinon
Arif! Mujhe Bhi Dukh Tha Kabhi Kainaat Ka
Khud Mein Uljh Gayi Hai Meri Zaat In Dinon
— Iftikhar Arif
کہتا نہیں ہے کوئی بھی سچ بات اِن دنوں
اچھّے نہیں ہیں شہر کے حالات اِن دنوں
احباب کا رَویّہ بھی بدلا ہُوا سا ہے
کچھ تنگ ہوگیا ہے مِرا ہاتھ اِن دنوں
اُس کو بھی اپنے حُسن پہ اب ناز ہوگیا !
ٹھہرے ہُوئے ہیں میرے بھی جذبات اِن دنوں
اُلجھا دِیا ہے مُجھ کو غمِ روزگار نے !
مُمکن نہیں ہے تُجھ سے مُلاقات اِن دنوں
عارف! مُجھے بھی دُکھ تھا کبھی کائِنات کا
خود میں اُلجھ گئی ہے ، مِری ذات اِن دنوں
Gham Se Palat Hi Jaayenge Aise Bhi Hum Nahi – Munir Niazi
Dil Ki Veeraan Gali Shaam Se Darti Kyun Hai – Amjad Islam Amjad




