
Shikwa Awwal To Be-Hisab Kiya – Jaun Elia
Shikwa Awwal To Be-Hisab Kiya
Aur Phir Band Hi Yeh Baab Kiya
Jaante The Badi Awaam Jise
Hum Ne Us Se Bhi Ijtinab Kiya
Thi Kisi Shakhs Ki Talaash Mujhe
Main Ne Khud Ko Hi Intikhab Kiya
Ek Taraf Main Hoon, Ek Taraf Tum Ho
Jaane Kis Ne Kise Kharab Kiya
Aakhir Ab Kis Ki Baat Manun Main
Jo Mila Us Ne La-Jawab Kiya
Yun Samajh Tujh Ko Muztarib Pa Kar
Main Ne Izhar-e-Iztirab Kiya
شکوہ اول تو بے حساب کیا
اور پھر بند ہی یہ باب کیا
جانتے تھے بدی عوام جسے
ہم نے اس سے بھی اجتناب کیا
تھی کسی شخص کی تلاش مجھے
میں نے خود کو ہی انتخاب کیا
اک طرف میں ہوں اک طرف تم ہو
جانے کس نے کسے خراب کیا
آخر اب کس کی بات مانوں میں
جو ملا اس نے لا جواب کیا
یوں سمجھ تجھ کو مضطرب پا کر
میں نے اظہار اضطراب کیا



