
Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin – Jaun Elia
Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin
Hai Kuch Aisa Ke Jaise Yeh Sab Kuch
Is Se Pehle Bhi Ho Chuka Hai Kahin
Tujh Ko Kya Ho Gaya Ke Cheezon Ko
Kahin Rakhta Hai Dhoondhta Hai Kahin
Jo Yahan Se Kahin Na Jata Tha
Woh Yahan Se Chala Gaya Hai Kahin
Aaj Shamshan Ki Si Boo Hai Yahan
Kya Koi Jism Jal Raha Hai Kahin
Hum Kisi Ke Nahin Jahan Ke Siwa
Aisi Woh Khas Baat Kya Hai Kahin
Tu Mujhe Dhoond Main Tujhe Dhoondun
Koi Hum Mein Se Reh Gaya Hai Kahin
Kitni Wahshat Hai Darmiyan-e-Hujum
Jis Ko Dekho Gaya Hua Hai Kahin
Main To Ab Shehar Mein Kahin Bhi Nahin
Kya Mera Naam Bhi Likha Hai Kahin
Isi Kamre Se Koi Ho Ke Vidaa
Isi Kamre Mein Chhup Gaya Hai Kahin
Mil Ke Har Shakhs Se Hua Mehsoos
Mujh Se Yeh Shakhs Mil Chuka Hai Kahin
Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin
Jaun Elia Poetry in Urdu Text
ابھی اک شور سا اٹھا ہے کہیں
کوئی خاموش ہو گیا ہے کہیں
ہے کچھ ایسا کہ جیسے یہ سب کچھ
اس سے پہلے بھی ہو چکا ہے کہیں
تجھ کو کیا ہو گیا کہ چیزوں کو
کہیں رکھتا ہے ڈھونڈھتا ہے کہیں
جو یہاں سے کہیں نہ جاتا تھا
وہ یہاں سے چلا گیا ہے کہیں
آج شمشان کی سی بو ہے یہاں
کیا کوئی جسم جل رہا ہے کہیں
ہم کسی کے نہیں جہاں کے سوا
ایسی وہ خاص بات کیا ہے کہیں
تو مجھے ڈھونڈ میں تجھے ڈھونڈوں
کوئی ہم میں سے رہ گیا ہے کہیں
کتنی وحشت ہے درمیان ہجوم
جس کو دیکھو گیا ہوا ہے کہیں
میں تو اب شہر میں کہیں بھی نہیں
کیا مرا نام بھی لکھا ہے کہیں
اسی کمرے سے کوئی ہو کے وداع
اسی کمرے میں چھپ گیا ہے کہیں
مل کے ہر شخص سے ہوا محسوس
مجھ سے یہ شخص مل چکا ہے کہیں
Kitab Umar Ka Ek Aur Bab Khatam Hua – Munir Niazi
Aankhon Mein Teri Jaise Koi Khwab Khila Hai



