
Bakht Se Koi Shikayat Hai Na Aflak Se Hai
Parveen Shakir
Bakht Se Koi Shikayat Hai Na Aflak Se Hai
Yahi Kya Kam Hai Ke Nisbat Mujhe Is Khak Se Hai
Khwab Mein Bhi Tujhe Bhoolun To Rawa Rakh Mujh Se
Woh Raviya Jo Hawa Ka Khas-o-Khashak Se Hai
Bazm-e-Anjum Mein Qaba Khak Ki Pehni Main Ne
Aur Meri Sari Fazilat Usi Poshak Se Hai
Itni Roshan Hai Teri Subah Ke Hota Hai Guman
Yeh Ujala To Kisi Deeda-e-Namnak Se Hai
Hath To Kaat Diye Koza Garon Ke Hum Ne
Mojize Ki Wohi Umeed Magar Chak Se Hai
بخت سے کوئی شکایت ہے نہ افلاک سے ہے
یہی کیا کم ہے کہ نسبت مجھے اس خاک سے ہے
خواب میں بھی تجھے بھولوں تو روا رکھ مجھ سے
وہ رویہ جو ہوا کا خس و خاشاک سے ہے
بزم انجم میں قبا خاک کی پہنی میں نے
اور مری ساری فضیلت اسی پوشاک سے ہے
اتنی روشن ہے تری صبح کہ ہوتا ہے گماں
یہ اجالا تو کسی دیدۂ نمناک سے ہے
ہاتھ تو کاٹ دیے کوزہ گروں کے ہم نے
معجزے کی وہی امید مگر چاک سے ہے
Apni Tanhai Mere Naam Pe Aabaad Kare
Aks-e-Khushboo Hoon Bikharne Se Na Roke Koi
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Mein Hai




