Ahmad Faraz

Guzar Gaye Kayi Mausam Kayi Raten Badlein – Ahmad Faraz

Dosti Ka Hath

Guzar Gaye Kayi Mausam Kayi Raten Badlein
Ahmad Faraz

 

Guzar Gaye Kayi Mausam Kayi Raten Badlein
Udaas Tum Bhi Ho Yaaro Udaas Hum Bhi Hain
Faqat Tumhein Ko Nahi Ranj Chaak Damaani
Ke Sach Kahen To Darida Libaas Hum Bhi Hain

Tumhare Baam Ki Shamaein Bhi Taabnaak Nahi
Mere Falak Ke Sitare Bhi Zard Zard Se Hain
Tumhare Aaina Khane Bhi Zang Aalooda
Mere Saraahi O Saagar Bhi Gard Gard Se Hain

Na Tum Ko Apne Khad O Khaal Hi Nazar Aayein
Na Main Yeh Dekh Sakoon Jaam Mein Bhara Kya Hai
Basaaraton Pe Woh Jaalay Paray Ke Dono Ko
Samajh Mein Kuch Nahi Aata Ke Maajra Kya Hai

Na Saro Mein Woh Guroor Kashida Qaamti Hai
Na Qamriyon Ki Udaasi Mein Kuch Kami Aayi
Na Khul Sakay Kisi Janib Mohabbaton Ke Gulaab
Na Shaakh E Aman Liye Faakhita Koi Aayi

Tumhein Bhi Zid Hai Ke Mashq E Sitam Rahe Jari
Humein Bhi Naaz Ke Jor O Jafa Ke Aadi Hain
Tumhein Bhi Zoum Mahabharata Lari Tum Ne
Humein Bhi Faqr Ke Hum Karbala Ke Aadi Hain

Sitam To Yeh Hai Ke Dono Ke Marghzaaron Se
Hawa E Fitna O Bu E Fasaad Aati Hai
Alam To Yeh Hai Ke Dono Ko Wohm Hai Ke Bahaar
Adu Ke Khoon Mein Nahanay Ke Baad Aati Hai

To Ab Yeh Haal Hua Is Darindagi Ke Sabab
Tumhare Paaon Salamat Rahe Na Haath Mere
Na Jeet Jeet Tumhari Na Haar Haar Meri
Na Koi Saath Tumhare Na Koi Saath Mere

Hamare Shehron Ki Majboor O Be Nawa Makhlooq
Dabi Hui Hai Dukhon Ke Hazaar Dheron Mein
Ab In Ki Teerah Naseebi Chiraagh Chahti Hai
Jo Log Nisf Sadi Tak Rahe Andheron Mein

Chiraagh Jin Se Mohabbat Ki Roshni Phelay
Chiraagh Jin Se Dilon Ke Dayar Roshan Hon
Chiraagh Jin Se Ziya Aman O Aashiti Ki Milay
Chiraagh Jin Se Diye Be Shumaar Roshan Hon

Tumhare Des Mein Aaya Hoon Dosto Ab Ke
Na Saaz O Naghma Ki Mehfil Na Shayari Ke Liye
Agar Tumhari Ana Hi Ka Hai Sawaal To Phir
Chalo Main Haath Barhata Hoon Dosti Ke Liye

 

دوستی کا ہاتھ- احمد فراز

گزر گئے کئی موسم کئی رتیں بدلیں
اداس تم بھی ہو یارو اداس ہم بھی ہیں
فقط تمہیں کو نہیں رنج چاک دامانی
کہ سچ کہیں تو دریدہ لباس ہم بھی ہیں

تمہارے بام کی شمعیں بھی تابناک نہیں
مرے فلک کے ستارے بھی زرد زرد سے ہیں
تمہارے آئنہ خانے بھی زنگ آلودہ
مرے صراحی و ساغر بھی گرد گرد سے ہیں

نہ تم کو اپنے خد و خال ہی نظر آئیں
نہ میں یہ دیکھ سکوں جام میں بھرا کیا ہے
بصارتوں پہ وہ جالے پڑے کہ دونوں کو
سمجھ میں کچھ نہیں آتا کہ ماجرا کیا ہے

نہ سرو میں وہ غرور کشیدہ قامتی ہے
نہ قمریوں کی اداسی میں کچھ کمی آئی
نہ کھل سکے کسی جانب محبتوں کے گلاب
نہ شاخ امن لئے فاختہ کوئی آئی

تمہیں بھی ضد ہے کہ مشق ستم رہے جاری
ہمیں بھی ناز کہ جور و جفا کے عادی ہیں
تمہیں بھی زعم مہا بھارتا لڑی تم نے
ہمیں بھی فخر کہ ہم کربلا کے عادی ہیں

ستم تو یہ ہے کہ دونوں کے مرغزاروں سے
ہوائے فتنہ و بوئے فساد آتی ہے
الم تو یہ ہے کہ دونوں کو وہم ہے کہ بہار
عدو کے خوں میں نہانے کے بعد آتی ہے

تو اب یہ حال ہوا اس درندگی کے سبب
تمہارے پاؤں سلامت رہے نہ ہاتھ مرے
نہ جیت جیت تمہاری نہ ہار ہار مری
نہ کوئی ساتھ تمہارے نہ کوئی ساتھ مرے

ہمارے شہروں کی مجبور و بے نوا مخلوق
دبی ہوئی ہے دکھوں کے ہزار ڈھیروں میں
اب ان کی تیرہ نصیبی چراغ چاہتی ہے
جو لوگ نصف صدی تک رہے اندھیروں میں

چراغ جن سے محبت کی روشنی پھیلے
چراغ جن سے دلوں کے دیار روشن ہوں
چراغ جن سے ضیا امن و آشتی کی ملے
چراغ جن سے دیئے بے شمار روشن ہوں

تمہارے دیس میں آیا ہوں دوستو اب کے
نہ ساز و نغمہ کی محفل نہ شاعری کے لئے
اگر تمہاری انا ہی کا ہے سوال تو پھر
چلو میں ہاتھ بڑھاتا ہوں دوستی کے لئے

Aankh Se Dil Mein Aane Wala – Arzoo Lhanavi
Main Ne Is Taur Se Chaha Tujhe Aksar Jaanan – Mohsin Naqvi
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho – Jaun Elia Shayari

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *