
Janay Kis Ki Thi Khata Yaad Nahi
Sufi Tabbasum
Janay Kis Ki Thi Khata Yaad Nahi
Hum Huay Kaisay Juda Yaad Nahi
Aik Shola Sa Utha Tha Dil Mein
Janay Kis Ki Thi Sada Yaad Nahi
Aik Naghma Sa Suna Tha Main Ne
Kaun Tha Shola Nawa Yaad Nahi
Roz Dohratay Thay Afsana E Dil
Kis Tarah Bhool Gaya Yaad Nahi
Aik Faqat Yaad Hai Jana Un Ka
Aur Kuch Is Ke Siwa Yaad Nahi
Tu Meri Jaan Tamanna Thi Kabhi
Ae Meri Jaan Wafa Yaad Nahi
Hum Bhi Thay Teri Tarah Aawara
Kya Tujhe Baad E Saba Yaad Nahi
Hum Bhi Thay Teri Nawaon Mein Shareek
Tair E Naghma Sara Yaad Nahi
Haal E Dil Kaisay Tabassum Ho Bayan
Janay Kya Yaad Hai Kya Yaad Nahi
جانے کس کی تھی خطا یاد نہیں
ہم ہوئے کیسے جدا یاد نہیں
ایک شعلہ سا اٹھا تھا دل میں
جانے کس کی تھی صدا یاد نہیں
ایک نغمہ سا سنا تھا میں نے
کون تھا شعلہ نوا یاد نہیں
روز دہراتے تھے افسانۂ دل
کس طرح بھول گیا یاد نہیں
اک فقط یاد ہے جانا ان کا
اور کچھ اس کے سوا یاد نہیں
تو مری جان تمنا تھی کبھی
اے مری جان وفا یاد نہیں
ہم بھی تھے تیری طرح آوارہ
کیا تجھے باد صبا یاد نہیں
ہم بھی تھے تیری نواؤں میں شریک
طائر نغمہ سرا یاد نہیں
حال دل کیسے تبسمؔ ہو بیاں
جانے کیا یاد ہے کیا یاد نہیں
Hum Jo Pohnchay Sar E Maqtal To Yeh Manzar Dekha
Waqt Rukhsat Aa Gaya Dil Phir Bhi Ghabraya Nahi



