
Jo Shajar Sookh Gaya Hai Woh Hara Kaise Ho
Jo Shajar Sookh Gaya Hai Woh Hara Kaise Ho
Main Paighambar To Nahi Mera Kaha Kaise Ho
Dil Ke Har Zarre Pe Hai Naqsh-e-Mohabbat Us Ki
Noor Aankhon Ka Hai Aankhon Se Juda Kaise Ho
Jis Ko Jaana Hi Nahi Us Ko Khuda Kyun Maanein
Aur Jise Jaan Chuke Hain Woh Khuda Kaise Ho
Umar Saari To Andhere Mein Nahi Kat Sakti
Hum Agar Dil Na Jalayein To Ziya Kaise Ho
Jis Se Do Roz Bhi Khul Kar Na Mulaqat Hui
Muddaton Baad Mile Bhi To Gila Kaise Ho
Door Se Dekh Ke Main Ne Use Pehchaan Liya
Us Ne Itna Bhi Nahi Mujh Se Kaha Kaise Ho
Woh Bhi Ek Daur Tha Jab Main Ne Tujhe Chaha Tha
Dil Ka Darwaza Hai Har Waqt Khula Kaise Ho
Jab Koi Daad-e-Wafa Chahne Wala Na Raha
Kaun Insaaf Kare Hashr Bapa Kaise Ho
Aaine Mein Bhi Nazar Aati Hai Soorat Teri
Koi Maqsood Nazar Tere Siwa Kaise Ho
Kin Nigahon Se Use Dekh Raha Hoon Shehzad
Mujh Ko Maloom Nahi Us Ko Pata Kaise Ho
جو شجر سوکھ گیا ہے وہ ہرا کیسے ہو
میں پیمبر تو نہیں میرا کہا کیسے ہو
دل کے ہر ذرے پہ ہے نقش محبت اس کی
نور آنکھوں کا ہے آنکھوں سے جدا کیسے ہو
جس کو جانا ہی نہیں اس کو خدا کیوں مانیں
اور جسے جان چکے ہیں وہ خدا کیسے ہو
عمر ساری تو اندھیرے میں نہیں کٹ سکتی
ہم اگر دل نہ جلائیں تو ضیا کیسے ہو
جس سے دو روز بھی کھل کر نہ ملاقات ہوئی
مدتوں بعد ملے بھی تو گلا کیسے ہو
دور سے دیکھ کے میں نے اسے پہچان لیا
اس نے اتنا بھی نہیں مجھ سے کہا کیسے ہو
وہ بھی اک دور تھا جب میں نے تجھے چاہا تھا
دل کا دروازہ ہے ہر وقت کھلا کیسے ہو
جب کوئی داد وفا چاہنے والا نہ رہا
کون انصاف کرے حشر بپا کیسے ہو
آئنے میں بھی نظر آتی ہے صورت تیری
کوئی مقصود نظر تیرے سوا کیسے ہو
کن نگاہوں سے اسے دیکھ رہا ہوں شہزادؔ
مجھ کو معلوم نہیں اس کو پتا کیسے ہو
Bhulata Lakh Hoon Lekin Barabar Yaad Aate Hain
Kehta Nahi Hai Koi Bhi Sach Baat In Dinon — Iftikhar Arif




