
Mujh Ko Thakne Nahin Deta Yeh Zarurat Ka Pahaad
Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete
Teri Yaadon Ko Bhi Ruswa Nahin Hone Dete
Kuch To Hum Khud Bhi Nahin Chahte Shohrat Apni
Aur Kuch Log Bhi Aisa Nahin Hone Dete
Azmatein Apne Chiraghon Ki Bachane Ke Liye
Hum Kisi Ghar Mein Ujala Nahin Hone Dete
Aaj Bhi Gaon Mein Kuch Kachche Makaanon Wale
Ghar Mein Hamsaye Ke Faqa Nahin Hone Dete
Zikr Karte Hain Tera, Naam Nahin Lete Hain
Hum Samandar Ko Jazeera Nahin Hone Dete
Mujh Ko Thakne Nahin Deta Yeh Zarurat Ka Pahaad
Mere Bachche Mujhe Budha Nahin Hone Dete
ہم غزل میں ترا چرچا نہیں ہونے دیتے
تیری یادوں کو بھی رُسوا نہیں ہونے دیتے
کچھ تو ہم خود بھی نہیں چاہتے شہرت اپنی
اور کچھ لوگ بھی ایسا نہیں ہونے دیتے
عظمتیں اپنے چراغوں کی بچانے کے لئے
ہم کسی گھر میں اُجالا نہیں ہونے دیتے
آج بھی گاؤں میں کچھ کچے مکانوں والے
گھر میں ہمسائے کے فاقہ نہیں ہونے دیتے
ذکر کرتے ہیں ترا نام نہیں لیتے ہیں
ہم سمندر کو جزیرہ نہیں ہونے دیتے
مجھ کو تھکنے نہیں دیتا یہ ضرورت کا پہاڑ
میرے بچے مجھے بوڑھا نہیں ہونے دیتے




