
Us Ne Sukut-E-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – Ahmad Faraz
Us Ne Sukut-E-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
Hijr Ki Raat Baam Par Mah-E-Tamam Rakh Diya
Aamad-E-Dost Ki Naved Ku-E-Wafa Mein Aam Thi
Main Ne Bhi Ik Charagh Sa Dil Sar-E-Sham Rakh Diya
Shiddat-E-Tishnagi Mein Bhi Ghairat-E-Mai-Kashi Rahi
Us Ne Jo Pher Li Nazar Main Ne Bhi Jaam Rakh Diya
Us Ne Nazar Nazar Mein Hi Aise Bhale Sukhan Kahe
Main Ne To Us Ke Paanv Mein Saara Kalam Rakh Diya
Dekho Ye Mere Khwab The Dekho Ye Mere Zakhm Hain
Main Ne To Sab Hisaab-E-Jaan Bar-Sar-E-Aam Rakh Diya
Ab Ke Bahaar Ne Bhi Kiin Aisi Shararatein Ki Bas
Kabk-E-Dari Ki Chaal Mein Tera Khiraam Rakh Diya
Jo Bhi Mila Usi Ka Dil Halqa-Ba-Gosh-E-Yaar Tha
Us Ne To Saare Shahr Ko Kar Ke Ghulaam Rakh Diya
Aur Ahmad Faraz Chahiyein Kitni Mohabbatein Tujhe
Maaon Ne Tere Naam Par Bachchon Ka Naam Rakh Diya
اس نے سکوت شب میں بھی اپنا پیام رکھ دیا
ہجر کی رات بام پر ماہ تمام رکھ دیا
آمد دوست کی نوید کوئے وفا میں عام تھی
میں نے بھی اک چراغ سا دل سر شام رکھ دیا
شدت تشنگی میں بھی غیرت مے کشی رہی
اس نے جو پھیر لی نظر میں نے بھی جام رکھ دیا
اس نے نظر نظر میں ہی ایسے بھلے سخن کہے
میں نے تو اس کے پاؤں میں سارا کلام رکھ دیا
دیکھو یہ میرے خواب تھے دیکھو یہ میرے زخم ہیں
میں نے تو سب حساب جاں بر سر عام رکھ دیا
اب کے بہار نے بھی کیں ایسی شرارتیں کہ بس
کبک دری کی چال میں تیرا خرام رکھ دیا
جو بھی ملا اسی کا دل حلقہ بگوش یار تھا
اس نے تو سارے شہر کو کر کے غلام رکھ دیا
اور فرازؔ چاہئیں کتنی محبتیں تجھے
ماؤں نے تیرے نام پر بچوں کا نام رکھ دیا
Bahaar Ki Dhoop Mein Nazare Hain Us Kinare – Ghazal
Jab Gham Meri Dharkan Meri Baaton Se Ayaan Tha To Kahan Tha




