
Farz Karo Hum Ahl E Wafa Hon
Ibn-e-Insha
Farz Karo Hum Ahl E Wafa Hon, Farz Karo Deewane Hon
Farz Karo Yeh Dono Baatain Jhooti Hon Afsane Hon
Farz Karo Yeh Ji Ki Bipta Ji Se Jor Sunayi Ho
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni Aadhi Hum Ne Chupayi Ho
Farz Karo Tumhein Khush Karne Ke Dhoondhe Hum Ne Bahane Hon
Farz Karo Yeh Nain Tumhare Sach Much Ke Mai Khane Hon
Farz Karo Yeh Rog Ho Jhoota Jhooti Peet Hamari Ho
Farz Karo Is Peet Ke Rog Mein Saans Bhi Hum Par Bhaari Ho
Farz Karo Yeh Jog Bujog Ka Hum Ne Dhoong Rachaya Ho
Farz Karo Bas Yehi Haqeeqat Baqi Sab Kuch Maya Ho
Dekh Meri Jaan Keh Gaye Bahu Kaun Dilon Ki Janay Ho
Basti Basti Sehra Sehra Lakhon Karain Deewane Ho
Jogi Bhi Jo Nagar Nagar Mein Maare Maare Phirtay Hain
Kaasa Liye Bhabhoot Ramaye Sab Ke Dware Phirtay Hain
Shayar Bhi Jo Meethi Bani Bol Ke Mun Ko Hartay Hain
Banjare Jo Oonchay Daamon Ji Ke Saude Kartay Hain
In Mein Sachay Moti Bhi Hain, In Mein Kankar Pathar Bhi
In Mein Athlay Pani Bhi Hain, In Mein Gehray Saagar Bhi
Gori Dekh Ke Aagay Barhna Sab Ka Jhoota Sacha Ho
Doobne Wali Doob Gayi Woh Gharra Tha Jis Ka Kacha Ho
فرض کرو ہم اہل وفا ہوں، فرض کرو دیوانے ہوں
فرض کرو یہ دونوں باتیں جھوٹی ہوں افسانے ہوں
فرض کرو یہ جی کی بپتا جی سے جوڑ سنائی ہو
فرض کرو ابھی اور ہو اتنی آدھی ہم نے چھپائی ہو
فرض کرو تمہیں خوش کرنے کے ڈھونڈھے ہم نے بہانے ہوں
فرض کرو یہ نین تمہارے سچ مچ کے مے خانے ہوں
فرض کرو یہ روگ ہو جھوٹا جھوٹی پیت ہماری ہو
فرض کرو اس پیت کے روگ میں سانس بھی ہم پر بھاری ہو
فرض کرو یہ جوگ بجوگ کا ہم نے ڈھونگ رچایا ہو
فرض کرو بس یہی حقیقت باقی سب کچھ مایا ہو
دیکھ مری جاں کہہ گئے باہو کون دلوں کی جانے ‘ہو’
بستی بستی صحرا صحرا لاکھوں کریں دوانے ‘ہو’
جوگی بھی جو نگر نگر میں مارے مارے پھرتے ہیں
کاسہ لیے بھبوت رمائے سب کے دوارے پھرتے ہیں
شاعر بھی جو میٹھی بانی بول کے من کو ہرتے ہیں
بنجارے جو اونچے داموں جی کے سودے کرتے ہیں
ان میں سچے موتی بھی ہیں، ان میں کنکر پتھر بھی
ان میں اتھلے پانی بھی ہیں، ان میں گہرے ساگر بھی
گوری دیکھ کے آگے بڑھنا سب کا جھوٹا سچا ‘ہو’
ڈوبنے والی ڈوب گئی وہ گھڑا تھا جس کا کچا ‘ہو’
Dil Se Tera Khayal Na Jaye To Kya Karoon – Hafeez Jalandhari
Woh Jo Apna Yaar Tha Der Ka – Munir Niazi




