
Kisi Ka Naam Lo Be-Naam Afsaane Bahut Se Hain
Qamar Jalalvi
Kisi Ka Naam Lo Be-Naam Afsaane Bahut Se Hain
Na Jaane Kis Ko Tum Kehte Ho Deewane Bahut Se Hain
Jafaaon Ke Gile Tum Se Khuda Jaane Bahut Se Hain
Magar Mehshar Ka Din Hai Apne Begane Bahut Se Hain
Banaye De Rahi Hain Ajnabi Nadarriyan Mujh Ko
Teri Mehfil Mein Warna Jaane Pehchane Bahut Se Hain
Dhari Reh Jayegi Pabandi-e-Zindan Jo Ab Chheda
Yeh Darbaanon Ko Samjha Do Ke Deewane Bahut Se Hain
Bas Ab So Jao Neend Aankhon Mein Hai Kal Phir Sunayenge
Zara Si Reh Gayi Hai Raat Afsaane Bahut Se Hain
Tumhein Kis Ne Bulaya Maikashon Se Yeh Na Keh Saqi
Tabiyat Mil Gayi Hai Warna Maikhane Bahut Se Hain
Badi Qurbaniyon Ke Baad Rehna Baagh Mein Hoga
Abhi To Aashiyan Bijli Se Jalwaane Bahut Se Hain
Likhi Hai Khaak Uraani Hi Agar Apne Muqaddar Mein
Tere Koochay Pe Kya Mauqoof Veerane Bahut Se Hain
Na Ro Ae Shama Maujooda Patangon Ki Musibat Par
Abhi Mehfil Se Baahar Tere Parwane Bahut Se Hain
Mere Kehne Se Hogi Tark-e-Rasm-o-Raah Ghairon Se
Baja Hai Aap Ne Kehne Mere Maane Bahut Se Hain
Qamar Allah Saath Imaan Ke Manzil Pe Pohncha De
Haram Ki Raah Mein Sunte Hain Butkhaane Bahut Se Hain
کسی کا نام لو بے نام افسانے بہت سے ہیں
نہ جانے کس کو تم کہتے ہو دیوانے بہت سے ہیں
جفاؤں کے گلے تم سے خدا جانے بہت سے ہیں
مگر محشر کا دن ہے اپنے بیگانے بہت سے ہیں
بنائے دے رہی ہیں اجنبی ناداریاں مجھ کو
تری محفل میں ورنہ جانے پہچانے بہت سے ہیں
دھری رہ جائے گی پابندیٔ زنداں جو اب چھیڑا
یہ دربانوں کو سمجھا دو کہ دیوانے بہت سے ہیں
بس اب سو جاؤ نیند آنکھوں میں ہے کل پھر سنائیں گے
ذرا سی رہ گئی ہے رات افسانے بہت سے ہیں
تمہیں کس نے بلایا میکشوں سے یہ نہ کہہ ساقی
طبیعت مل گئی ہے ورنہ میخانے بہت سے ہیں
بڑی قربانیوں کے بعد رہنا باغ میں ہوگا
ابھی تو آشیاں بجلی سے جلوانے بہت سے ہیں
لکھی ہے خاک اڑانی ہی اگر اپنے مقدر میں
ترے کوچے پہ کیا موقوف ویرانے بہت سے ہیں
نہ رو اے شمع موجودہ پتنگوں کی مصیبت پر
ابھی محفل سے باہر تیرے پروانے بہت سے ہیں
مرے کہنے سے ہوگی ترک رسم و راہ غیروں سے
بجا ہے آپ نے کہنے مرے مانے بہت سے ہیں
قمرؔ اللہ ساتھ ایمان کے منزل پہ پہنچا دے
حرم کی راہ میں سنتے ہیں بت خانے بہت سے ہیں
Kuch Ajab Aan Se Logon Mein Raha Karte The
Main Un Ko Kabhi Had Se Guzarne Nahin Dunga – Aleem Usmani




